Showing posts with label Good Shayries. Show all posts
Showing posts with label Good Shayries. Show all posts

Monday, July 13, 2009

Wah Ustad Wah.....

Mere Jineke Liye Tera Armaan Hi Kafi Hai,
Dil Ke Kalam Se Likhi Ye Dastaan Hi Kafi Hai,
Tir-E-Talwaar Ki Tujhe Kya Zaroorat-E-Nazneen,
Qatl Karne Ke Liye Teri Muskaan hi Kafi Hai
------------------------------------------------------------
Kajal banke teri aankho mein samane ki tamanna hai,
Dawa banke tere dard mitane ki tamanna hai,
Yun to haasil hai zamane ki har cheez mujhe,
Sirf ek baar tujhe dulhan ke roop mein paane ki tamanna hai
------------------------------------------------------------
Sato aasman ki sair hum kar aaye,
Her ek tare se dosti kar aaye,
Ek tara khas tha jise hum sath le aaye,
Varana aap he sochiye ki aap Is dharati pe kaise aae hote?
------------------------------------------------------------
Na kabhi muskurahat aapke hoton se dur ho,
aapki har khwahish hakikat me manzur ho,
ho jaye jo aap humse khafa,
khuda na kare humse kabhi aisa kasoor ho…
------------------------------------------------------------
Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha,
Hazaron me ek humne tum hi ko dekha,
Gum dene wale to har pal hai yahan,
Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha
------------------------------------------------------------
Najneen hushn malin, nakhraye saaj ho tum,
Dilkash mohabbat ka, hasin andaaj ho tum,
Kyun raaz se raaz ka raaz ho tum,
Taj nahin mere dil ki MUMTAJ ho tum
------------------------------------------------------------
Kabhi subha ko yaad aate ho,
kabhi shaam ko yaad aate ho,
Kabhi kabhi itna yaad aate ho,
Aaina hum dekte hai, nazar tum aate ho!
------------------------------------------------------------
Khud Ko Khud Ki Khabar Na Lagay,
Koi Achha Bhi Is Qadar Na Lagay,
Aap Ko Dekha Hai Bas Us Nazar Se,
Jis Nazar Say Aap Ko Nazar Na Lagay
------------------------------------------------------------
sans lene se bhi teri yaad aati hai,
nalene se meri jaan jati hai,
kaise kahun ki sanns se main jinda hon,
jabki sans se pehle teri yaad aati hai.
------------------------------------------------------------

Tuesday, June 16, 2009

Good Shayries

Koi dikha ke roe,koi chupake roe,
hame rulane wale hame rulake roe,
marane ka maja to tab hai yaro jab,
kaatil bhi janaaje pe aake roe.
----------------------------------
macchar ne jo kata... dil me mere junun tha,
khujli hui itni... dil me sukun tha,
pakada to chod diya yes soch kar ki,
saale ki rago me apna hi khun tha.
----------------------------------
Lehar aati hai, kinare se palat jati hai,
yaad aati hai, dil mein simat jati hai,
dono mein farakh sirf itna hai,
lehar bewaqt aati hai, aur yaad har waqt aati hai.
----------------------------------
Gulaab ko bhi Kamal bana dete,
Uski ek Ada pe Kai gazal bana dete...
Kambhakt marti nahi mujh par ladkiyaan,
Warna BANGALORE me bhi TAJMAHAL bana dete...
----------------------------------
Dil ke aangan se chand ka didar ho gaya,
mai uska deewana ho gaya,
chaand badlo me kho gaya,
maine badal hatne ka intezaar kiya,
tab tak chaand KISI OR KA HO GAYA.
----------------------------------
laut jati hai lehre jaise kinara dekh kar,
waise hi laut jata hai zamana mera gum dekh kar,
tum kandha na dena mere janaze ko….
kahi uth na jau main tumhara sahaara dekhkar......
----------------------------------
Dil hona chahiye, Jigar hona chahiye,
Ashiqui ke liye hunar hona chaihye,
nazar se nazar milne parr ishq nahi hota,
nazar ke uss paar bhi ek aasar hona chahiye.
----------------------------------
itni berukhi na dikha,
ek din hum bhi berukhi dikhayenge,
tum paidal jaa rahi hongi,
aur hum janaje pe jaaenge.
----------------------------------
is kadar hamari chahat ka imtihan na lijiye.
Kyu ho humse khafa, bayan to kijiye,
Kar dijiye maaf agar ho gaye humse khata,
Yu yaad na karke saza na dijiye.
----------------------------------